Friday, April 29, 2016

Chitika Ads Se Paisa Kaise Kamaiye

Tags


Chitika Se Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jane



Chitika adsense ki tarah hi ek advertising site hai. jo hume ads dikhane ke paise deti hai.Adsense sabse better site hai, par agar aapka adsense account approved nahi hua hai to aapChitika ya Bidvertiser ke ads apni site ya blog par laga kar paise kama sakte hai. aaj mai aapko is post me chitika par account banane, chitika se paise kamane or blog par chitika ke ads lagane ki jankari bta raha hu, aap mujhe follow kar ke chitika se paise kama sakte hai.

Chitika ek advertising site hai. jo hume ads dikhane ke paise deti hai. ye pay per click ka kaam karti hai. chitika bilkul adsense ki tarah hi hai. jab koi apni site ya bussiness ka promotion karna chahata hai to wo chtika, adsense jaisi site ko apne bussiness se related ads dikhane ke paise deta hai. or chitika wo ads hume apni site par dikhane ka hume commission deti hai. yani use ads ke jo paise milte hai uska kuch persant wo hume de deti hai. yah mai aap ko btana chahunga ki sari advertiser sites me Adsense sabse jada paise dene wali site hai.


Chitika Par Account Kaise Banaye?

Step 1

first Chitika site par jaye or Sign Up par click kare.

chitika sign up
1. yaha apni email ID bhare.
2. Go button par click kare.

Step 2

1. Go button par click karne ke bad aapki email id par ek msg aayega.
2. msg me Complete My Application ka option hoga us par click kare.

Step 3

Ab ek windows khulegi, aapko isme sahi jankari bharni hai. 
1. apna naam likhe.
2. surname yani aap apne naam ke bad kya lagate ho wo likhe.
3. chika account ke liye username choone. (apna pura naam bhi use kar sakte ho)
4. aapko kis website ya blog par ads dikhane hai uska url dale.
[alert-announce]Note:- agar aapki site ka xyz.com domain nahi hai to aap xyz.blogspot.com url bhi use kar sakte hai.[/alert-announce]
5. kam se kam 8 words ka password choone. (paasword me 123 or #!&^* jarur use kare)
6. password check karne ke liye password repeat kare.
7. aapka country konsa hai wo select kare.
8. Finaly Submit button par click kare.
Ab aap thoda wait kare. chitika account ko approved hone me 1-2 din bhi lag sakte hai. Jab aapka chitika account approved ho jayega to aapki email id par chitika approved hone ka msg aayega. uske bad aapko chitika se ads ka code milega. ads ke code ko aap apne blog par post or widget par kahi bhi add kar sakte ho. uske bad jab koi aapke ads par click karega to aapki income hogi.

This Is The Newest Post

3 comments


EmoticonEmoticon